Lewati ke konten utama
Lirik lagu

Tujhko

Arijit Singh , Sunidhi Chauhan

Jeene ki hai tu hi wajah
Jeena tere liye
Main kya kahun ke yaar tu
Hai kya mere liye

Zamane mein kahin
Meri tarah kabhi
Chahega na koi tujhko

Jaise maine diya
Waise poori tarah
Dil dega na koi tujhko

Tujhko,
Jab se mila tujhko
Tujhko,
Maana jahan tujhko

Subah ki saari furtiyan
Bekhudi har shaam ki
Na ho tere saath mein
Toh mere kis kaam ki

Uthe jo mera har kadam
Tere sang shuruaat mein
Haath daale haath mein
Fiqr kya anjaam ki

Mujh mein jyaada ab tu hi hai
Jitna main hoon woh kyun hi hai
Kuch aisa kar main dhoondhoon bhi toh
Paun na khudh ko

Tu hi toh aasman
Tu hi meri zameen
Maana hai zindagi tujhko

Bin maange har dua
Poori hui meri
Paaya jo humnasheen tujhko

Tujhko,
Jab se mila tujhko
Tujhko,
Maana jahan tujhko
Tujhko,

Galatiyan bhi teri main gawara karun
Ye khata hi sahi, par dobara karun
Kya karun sarphira ishq hi hai mera
Izhaar ka yahi tareeqa hai mera